Why kyc is important – KYC kya hai dosto aaj ham aapko iss article me batayenge ki KYC kya hai, aur KYC Ka full form kya hai, aur KYC ko kyo bharvaya ( filled ) jata hai, Why kyc is important ki informations Jaan ne ke liye article Pura padhe to chaliiye jaante hai KYC ke baare me – let’s start articles
Why kyc is important
KYC kya hai aur kyo bharvaya jata hai? Bank me account open Karna ho, fixed deposit, bharvana ho mutual fund kharidna ho ya Insurance lena ho, aapse KYC form bharvaya jata hai, KYC ki jaankari aur isse kyo bharvaya jata hai aur isse bharne ke liye koun-koun se documents chahiye hote hai Hindi me Details se jaaniye
KYC Full Form
KYC full form in Hindi – ( KYC ) yaani know your customer jise Simple Hindi me kahenge “Apne graahak ko jaaniye” bank aur Financial Companies iss form ko bharva Kar Iske sath Kuch pahechan ( recognise ) ke proof bhi leti hai jiske jariye wah Apne customers ki pahechan ko confirm karte hai, KYC Apne confirm customer identity ke liye ek Business process hai, Reserve Bank of India ke dwara banks ke liye customers se KYC bharvana anivarya (mandatory) Kiya gaya hai
Documents required for KYC
Investors ko Apne KYC application form ke sath Following documents aur passport size photograph jama Karne honge, Identity proof: PAN card, driving license, passport copy, voter ID, Aadhaar card ya bank passbook ki copy
proof of address
Recently Mila landline ya mobile bill, electricity bill, passport copy, haal hi ki Demat account statement, latest bank passbook, ration card, voter ID, rent Ka settlement driving license ya Aadhaar card
Iss baat se koi fark nahi padta ki aap only saving account hi open Kar rahe hai, aur bahut Small amount jama karva rahe hai, Kisi bhi banking transaction ke liye KYC form bharna anivarya ( mandatory ) hai
Inn sabke alawa jab ham SIM card lete hai, to apni pahechan ke liye ham apna Aadhaar card verify karte hai iss process ko bhi KYC kahete hai, agar aapka bank account Inactive ho gaya hai to bank Aapse documents maangta hai, aur Aapke documents ke jariye Jo bhi pahechan karega usko KYC kahete hai
Ab aap Jaan gaye hoge ki KYC kya hai aur kya zarurat hai iski aur iska full form kya hai yah sab aapko iss article me samjh aa gaya hoga, jab bhi aap apni pahechan karvaate hai to iss process ko KYC kahete hai
Supportmera website Ka yahi kaam hai ki wah apne readers ko aur aane Wale new readers ko online se related services aur informations ke baare me help kare Hindi me, iss Website par aapko sabhi technical, online tips and tricks, online services, android aur etc.. ke baare me information milegi – har technical se related information jaante rahene ke liye website ko subscribe karke hamare sath Jude rahe – Daily Something New
★ how to increase laptop battery capacity
★ Oppo Reno 3 Specifications leak
I hop aapko Why kyc is important ki informations Pasand Aayi hogi Apne freinds ke sath aur social media Share zarur kare taaki aur bhi logo ko yah information pata chale – Thank you