Pan card ko aadhaar card se kaise link kare, aaj ham aapko iss article me batane wale hai ki pan card to aadhar card link kaise kare ka tarika article Pura padhe taaki aapko Sahi se information mil sake to chaliye jaante hai – let’s start articles
pan card to aadhar card link
Agar Aapke pass pan card hai to aapko Government guidelines ke accordingly usse Apne Aadhaar card se link Karna zaruri hai, agar Aapne aisa Nahi Kiya to aapka pan card radd ( Canceled ) Kar Diya Jayega, aise me aap aage chalkar Apne cards se Jude kaam Nahi Kar payenge, agar aap Soch rahe hai ki aap dusra pan card banva lenge to aapko bata de ki ek vyakti ke liye sirf ek hi pan card valid hai, agar aap ek se jyada Pan card use karte hai to aapko iska Penalty bharna pad Sakta hai, isse achha hai ki aap time rahete apna Aadhaar card link Karwa le
Ek report ke according ab tak karib 30.80 crores pan card, Aadhaar card, se link ho Chuke hai, government lagataar logo ko yah kah rahi hai ki wah Apne Aadhaar card aur pan card ko jode Iske liye government pichle Saal se iski Last date badhati jaa rahi hai, jis se sabhi pan card holder Apne Aadhaar ko isse link Kar paaye, ab tak 17.55 crores pan card ko aadhaar card se link nahi Kiya gaya hai, government kaafi time se inhe jodne par zor de rahi hai, aur Kai Baar iski last date ko aage badhaya gaya hai, agar Iske ba-wajud Inn dono documents ko joda Nahi Gaya to government ko majburan pan card radd ( cancelled ) Karna padega
Pan card ke sath Aadhaar card ko link kaise kare
Aapko bata de ki pan card ko Aadhaar card se link karne ke 3 tarike hai, pahela online Apne mobile ya Computer se, dusra pan card center jaha se Aapne isse banaya tha, aur tisra SMS hai, iss post me ham aapko tino tarike batayenge halaki inme SMS aur center Ka tarika kabhi-kabhi kaam Nahi karta hai, aise me agar aap turant link Karana chahte hai to aap online website ki help le sakte hai, yah sabse fast aur safe tarika hai
Link to online website
Online website se link kare, iske liye aapko https://incometaxindiaefiling.gov.in/ iss income tax department ki website par Jana hai, Yaha par sabse pahele aapko ek account create Karna Hoga, jiske liye aapko Register Yourself par click Karna hoga, Iske aapko pan card type select Karna hai, agar aapka pan company ya other bade kaamo ke liye use kiya jata hai to aapko Yaha inke type mil jaate hai, agar aapka pan Aapke khud Ke personal kaamo ke liye use hota hai to aapko individual select Karna hai, ab continue par click kare
pan card to aadhar card link
Ab Yaha aapko Apne pan card ki details enter Karna hai, Jaise card Ka number, last name, middle name, first name, date of birth, Iske niche Residential status me aapko resident select Karna hai Iske baad continue kare
Fill the registration form
Iske baad ek registration form aa Jayega jisme sabse pahele aapko ek strong password create Karna Hoga, password me capital aur small latter, special character aur number Hona Chahiye, password ko confirm Karne ke baad aapko Kuch question select Karke unke answer likhna hai, agar aap Kabhi password bhool jaate hai to yah question answer aapko password reset Karne me help karenge
Ab aapko contact information daalna hai jisme aapka mobile number aur email address Hona chahiye, Inn dono ke jariye aap Apne account ko verify Kar payenge to primary mobile me apna number likhe aur niche self ko Select kare iske niche primary email address me apna email id enter kare aur self ko select kare
Iske niche aapko apna Pura address likhna hai aur Kuch chize select Karna hai, sabse pahele aap Apne Aadhaar card me maujud address ko likhe, Iske baad niche pin code likhne ke baad area, post office, district, ya city aur sath hi apna state Select kare yah sab Karne ke baad continue par click kare
Do Registration Verification
Ab ek Message show Hoga jisme bataya Jayega ki Aapne Yaha Jo mobile number aur email address Likha hai uspar 6 digit OTP bheja Jayega, mobile number par alag aur email address par alag OTP bheja jata hai, isliye aapko dono ko check Karna hai agle process me aapko sabse pahele email par aya OTP likhna hai Iske niche phone number par aya OTP likhna hai inn dono ko likhne ke baad validate par click Kare
Isse aapka registration successful ho Jayega, aapka pan card number aapka user ID hai aur password Aapne pahele hi khud se Create Kar liya hai, ab aapko website me log-in Karna Hoga Iske liye home ke button par click kariye Iske baad Log-in here par click kare
Website me log-in kijiye
Ab sabse pahele aapko user id me aapko apna pan card number enter Karna hai, Iske niche aapko password likhna hai jise aapne website me registration karte time banaya tha, aage aapko ek captcha code dikhega usko Dekh Kar waha enter Karna hai, aage log-in par click Karna hai
pan card to aadhar card link
Agar aap paheli Baar inki site me log-in karenge to iske home page me hi aapse Aadhaar card link Karne ke liye Kaha jayega, jisme sabse upar number aur niche Aadhaar card par Likha naam likhna hai, Iske baad I Agree par click karke link now par click Kar dijiye, aapka Pan Aadhaar card se link ho jayega
Agar Iske home page me aapko Aadhaar link karne Ka option Nahi milta hai to aapko iss site ki profile settings menu me Jana hoga, Yaha sabse niche Aadhaar card ko link Karne Ka option mil Jayega
pan card to aadhar card link
Ab sabse upar number aur niche Aadhaar par Likha naam likhkar I agree par click Karke link now par click Kar dijiye aapka pan Aadhaar card se link ho jayega, isse check Karne ke liye jab aap wapis link Aadhaar ke option par jayenge to waha aapko your pan is linked to Aadhaar number Ka message show Hoga iska matlab hai ki aapka Aadhaar aur pan link ho Gaya hai
Pan center jaakar kaise kare link
Agar aapko Internet aur website use Karne ki jyada information Nahi hai to aap Apne najdiki Kisi bhi PAN center jakar pan card ko Aadhaar card se link karva sakte hai, Iske liye aapko ek Application form bharna hoga sath hi Kuch fees bhi deni hogi application form ke sath pan card ki photo copy aur Aadhaar card ki photo copy lagana zaruri hai, iss tarah bhi aap dono documents ko link kara sakte hai
You can also process through SMS
link Karne ki yah process SMS ke jariye bhi Kar sakte hai, halaki yah kabhi-kabhi work nahi Karti hai kyo ki ispar kaafi jyada traffic hota hai, Iske alaawa isme aapka mobile number register Hona chahiye, agar aap isse try Karna chahte hai to niche diye Gaye step ko follow kare
Sabse pahele Apne message box me type kare UIDPAN <12 digit Aadhaar card number> <10 digit Pan> – for example – UIDPAN 123456789999 abcdf1234p ab isse 567678 ya 56161 par Apne registered number se message kare, agar iss process me aapka Aadhaar aur pan link ho jata hai to iska confirmation message aapko mil jayega
Ab aap Jaan gaye honge ki Pan card ko Aadhaar card se kaise link kare iss post me hamne aapko 3 tarike bataye hai jinme sabse aasan SMS Ka hai par SMS Ka tarika kabhi-kabhi kaam Nahi karta hai, aise me agar turant dono documents ko link Karna chahte hai aapko online Website ki help Leni Chahiye, isse aap Kuch minutes me apna pan with Aadhaar link karne Ka kaam Kar sakte hai
★ how to increase laptop battery capacity
★ Oppo Reno 3 Specifications leak
pan card to aadhar card link
I hop aapko yah pan card to aadhar card link Karne ki process se kaafi help Mili hogi agar haa to Apne friends ke sath aur social media par share zarur kare iss article ko, aur Aapko iss post se related koi bhi questions ya suggestion hai to aap hame comment karke bata sakte hai, ham aapki puri tarah se help karne ki koshish karenge – Thank you