Email and gmail difference – dosto aaj ham aapko iss article me batayenge ki email aur gmail me kya difference hai email kya hota hai aur Gmail kya hota hai ki information to chaliye jaante hai – let’s start articles
Email and gmail difference
Aaj ke time me Internet me inn dono naam se kaafi log vakif hai, lekin Kuch log abhi bhi Nahi jaante hai ki Email kya hota hai aur Gmail kya hota hai, aur kya inme koi difference hai to aaj ham aapko inhi ke baare me batane jaa rahe hai, ham sabhi jaante hai ki pahele ke time me Jaise koi letter likhkar Kisi ko bhejna hota tha to ham Postal Department Ka Sahara Lete the Postal department ke postman hamare letter ko bhejne aur laane Ka kaam karte hai,
lekin Postal department ke iss process me kaafi time lag jata tha iss wajah se Kuch technical search ki gayi aur hamare samne Email Nikal Kar aya Jo Kuch hi second me Kisi bhi letter ko give and take Kar deta hai
Email and gmail difference
Aaj bhi bahut se log aise hai jinhe Email aur Gmail ke bich confusion hai inhe Email aur Gmail me difference pata Nahi hai, agar aapko bhi inke bich koi confusion hai to aaj ham aapko Inn dono ki complete information dene ki koshish karenge jis se aapka Inn dono ke bich Ka confusion dur ho Jayega aur aap bhi Kisi ko inke bich Ka difference bata sakte hai
Email aur Gmail me difference samjhne ke liye sabse pahele aapko Email aur Gmail ke bare me Jaan na padega, jab aap Gmail kya hota hai, aur Email kya hota hai, inke bare me Jaan jayenge to aapko Inn dono ke bich Ka difference pata chal Jayega, to chaliye jaante hai inn dono ke bich difference kya hai
What is Email
Email kya hai, aapko bata de ki Email ki full form Electronic mail Hoti hai yaani koi bhi letter jise Electronic ke jariye se bheja ya mangaya jata hai isse ham Electronic mail kahete hai, iss process me Pura kaam Internet ke jariye se hota hai, pahele Email bhejne ke liye Yahoo mail Ka kaafi use Kiya jata tha lekin jab se Google Ka product Google mail aya hai tab se Yahoo ki mail process me kaafi giraavat aayi hai aur wahi ab jyadatar log Google Ka product Gmail Ka use Kar rahe hai
Email bhejne ke liye Gmail, yahoo mail, Hot mail, Ka use Kiya jata hai Yaha hot mail Microsoft company ki Email process hai yaani sabhi Giant companies ne Email bhejne ke liye apni apni Email service shuru ki hui hai
What is Gmail
Gmail kya hai, ab aapko pata chal gaya hoga ki Email kya hai wahi Gmail ki baat kare to yah Google Ka hi ek product hai jiska Pura naam Google mail hai, Google ki Email process bilkul free hai waise to sabhi company ki Email service free lekin fir bhi jyadatar log Gmail Ka hi use karte hai kyo ki isme Email bhejna kaafi easy hota hai isme Email bhejna Kisi ko message bhejne jitna easy kaam hai
Jab Google ne Gmail service banaya tha to Initial time me iska use only Google ke Officer hi Kar sakte the lekin 1 April 2004 ko Google ne janta ke liye Gmail ki Declaration Kar Di thi aur tabhi se Gmail ko aam log bhi use Karne lage hai
Ab aap Jaan Gaye honge mi Email kya hai, Gmail kya hai, Email aur Gmail me difference kya hai aapko bata de ki Email ko aap ek company se dusri company ko mail bhej sakte hai matlab agar aap Gmail Ka use karte hai to aap Kisi documents ko Gmail ke jariye yahoo mail par bhi bhej sakte hai, filhaal Gmail ke duniya me sabse jyada users hai aur jab bhi Kisi website ya App me registration Karna hota hai to apko Gmail se bhi registration Karne Ka option mil jata hai
I hop aapko yah Email and gmail difference ke baare me pata chal gaya hoga agar aapka koi suggestion hai ya iss article me Kuch mistake hai to aap hame comment karke bata sakte hai – post Pasand Aayi hogi to Apne friends ke sath aur social media par share zarur kare taaki aur bhi logo ko Iske baare me pata chale – Thank you