Delhi driver yojana online apply Karke Apne bank account me paaye 5000rs Delhi Sarkar Arvind kejrival ji ne iss lockdown ke chalte drivers ke liye ek yojana banayi hai jisme aap inki official website par jakar online apply Kar sakte hai aur Apne bank account me 5000rs Paa sakte hai, kya process hai aur kaise apply kare yah sab Jaan ne ke liye article Pura padhe to chaliye shuru karte hai – let’s start articles
Delhi driver yojana rs5000 ke liye apply kaise kare
Dosto Coronavirus ko dekhte hue pure desh me lockdown laga hai, aur yahi par dosto Delhi ke Chief Minister Mr. Arvind Kejriwal ji, sabhi drivers ke liye chahe wah koi bhi drivers ho, unke liye dosto Yaha par Delhi Sarkar ne bahot hi achhi scheme nikali hai, jisko freinds aisa nahi hai aap corporators se ya cyber cafe me jakar apply Karna padega, iss scheme ko aap Apne mobile phone se bhi apply Kar sakte hai
Ji haa dosto mai aapko complete process bataunga bas aap article padhna jaari rakhe, kaise aap apply Kar sakte hai Apne Mobile phone se yah sab aapko step by step process samjhaunga ek bhi paragraph miss na kare, sathme yah bhi bataunga ki kin-kin documents ki zarurat padegi, dosto aapko niche apply now par click Karke Delhi Sarkar ki official website par Jana hoga
Ham aapko aisi link provide Kara rahe hai jaha se aap jaldi aur Sahi Website par jaa Sakte hai, jis se aapko koi Pareshani nahi hogi aur aap Apne computer ya fir Apne smartphone se apply Kar sakenge,
Delhi driver yojana kaise apply kare
Dosto Jaise hi aap inki official website par jayenge waha par aapko thoda niche scroll Karna hai niche jayenge to waha likha milega click here blue colour me uss par click kare, yah dosto ek bar me open nahi hota to tension nahi lena kyo ke yah redirect hota hai kisi bhi Ads par ya koi Website par isliye aap 1 se 2 bar try kare back aye fir try kare jab tak Aapke samne aisa interface nahi aata jaisa aap niche image me Dekh sakte hai image me bataya gaya interface Aapke samne show hoga to aapko waha puche gaye documents ko Sahi se fill kare
These documents will be required for Delhi Driver Scheme
1. Driving License No.
2. PSV badge No.
3. Mobile Number.
4. Date of Birth.
5. Gender
6. Aadhaar Card Number
Agar Aapke pass yah sab documents hai tabhi aap eligible hai iss scheme ke liye nahi to aap apply nahi Kar sakte, Inn baato kya dhyan rakhe
How apply online Delhi driver yojana
Aapko simply apna driving license number daalna hai aur Uske niche pucha Jayega PSV badge number daal Kar submit par click Kar dena hai
Jaise hi aap submit par click karoge to Aapke samne next page open hoga jaha aap apne aur documents Yani ke abhi aap ne sirf 2 hi documents fill Kiya hai aur next page me aapko mobile number, date of birth, gender, aadhaar card, daalna hai aur aage badhna hai
Ham aapko aage ke step nahi bata rahe hai kyo ke mere pass PSV badge nahi hai isliye Mai yah scheme apply nahi Kar sakta par bahot simple hai aap khud se bade hi asaani se Kar sakte hai,
Freinds aapse bank account details nahi manga jaa raha hai, aur aapko paise cash nahi milenge, yah paise sidhe Aapke bank account me jayenge aur ab aap Soch rahe hoge ki hamne bank details diya nahi to kaise, aapko bata de dosto Aapne Jo Aadhaar card dala hai wah aadhaar card se Jo bhi aapka bank account link Hoga usme yah paise sidhe deposit Kar diye jayenge,
Agar upar apply now ke button se koi problem ho rahi hai to aap sidhe apne browser me Delhi government ki official site search Kar sakte hai, Delhi government official website – https://www.transport.delhi.gov.in/
Yah Website par jakar aap Delhi driver yojana ke liye apply Kar sakte hai, bahot hi simple way hai, bas Aapke pass upar bataye gaye documents hona zaruri hai
Also read
• Best Car bike review site in india
• Coronavirus whatsapp helpline number COVID-19
I hop aapko yah Delhi driver yojana me apply kaise kare ki informations samajh aur Pasand Aayi hogi agar haa to iss article ko Apne freinds ke sath aur social media par share zarur kare taaki aur bhi logo ko yah information pata chal sake aur unhe help mil sake – Thank you
Stay Home, Stay Safe, Stay Alive.COVID-19